Sare Jhaan Se Acha Hindustaan Hamara Lyrics


Sare Jhaan Se Acha Hindustaan Hamara 

Ham Bulbuleen Haan Is Ki Ye Gulistan Hamara


Gurbaat Me Hoon Agar Ham, Rehta Ha Dil Watan Me

Samjhoo Waheen Hame Bhi Dil Ho Jahan Hamra


Parbat Wo Sab Se Uncha Hamsayaa Asmaan Ka

Wo Santari Hamara, Wo Pasbaan Hamara


Godi Me Khelati Haan Is Ki Hazaroon Nadiyaan

Gulshan Ha Jis Ke Dam Se Rashq Janan Hamara


Ae Aab e Rood Gangaa! Wo Din Haan Yaad Tujh Ko

Utara Tare Kinare Jab Karwaan Hamara


Mazhaab Nahi Sikhata Apaas Me Bear Rakhana

Hindi Han Ham Watan Ha Hindustaan Hamara


Yunaan O Misar O Roma Sab Mit Gae Jahan Se

Ab Tak Magar Ha Baqi Naam O Nishaan Hamara


Kuch Baat Ha K Hasti Miti Nahi Hamari

Sadiyoon Raha Ha Dushmaan Dor Zamaan Hamara


Iqbal! Koi Mehram Apna Nahi Jahaan Me

Maloom Kaya Kisi Ko Daard Nehaan Hamra


Sare Jhaan Se Acha Hindustaan Hamara 

Ham Bulbuleen Haan Is Ki Ye Gulistan Hamara

Comments

Popular posts from this blog

Chand Taare Hi Kya Dekte Reh Gaye

Ye To Sach Ha Ke Khata Kar o Gunahgaar Han Ham Lyrics

Wajood e Awal Wajood e Daaem, Wajood e Yaqta Wajood Har Su Lyrics